|
आनंदित रहो प्रभु में आनंदित रहो
आनंदित रहो प्रभु में आनंदित रहो मैं फिर से कहता हूँ सदा आनंदित रहो
जब तुम्हारा मन बोझिल हो चलते चलते थक गये हो अपना बोझ प्रभु पर डाल दो उसको है तुम्हाराख़्याल
आनंदित रहो...
जब तुम्हारा प्राण व्याकुल हो जीवन में निराशा हो रखो अपना भरोसा प्रभु पर जीवन को आनंद से भरेगा
आनंदित रहो...
जब तुम्हें लोग सताया करें मेरे कारण तुम्हारी निंदा हो हिम्मत ना हारो सब कुछ सह लो स्वर्ग में है तुम्हारा बड़ा प्रतिफल
आनंदित रहो...
|
Aanandit raho Prabhu mei aanandit raho
Aanandit raho Prabhu mei aanandit raho mai phir se kahta hoon sada aanandit raho
jab tumhara man bojhil ho chalte chalte thak gaye ho apna bojh Prabhu pe daal do usko hei tumhara khayal
aanandit raho...
jab tumhara pran vyakul ho jeevan mei niraasha ho rakho apna bharosa Prabhu par jeevan ko aanand se bharega
aanandit raho...
jab tumhe log sataya karein mere kaaran tumhari ninda ho himmat na haro, sab kuch sah lo swarg me hei tumhara bada pratifal
aanandit raho...
|